sheher se poochha mera pata, bola, “yahin tha... ab laapata.” khwaabon ka qarz bhi chukta nahi, aur waqt kisi ka rukta nahi. mein khud se bhagu gali-gali, har mod pe apni kami mili. jo banna tha, woh bana nahi, jo ban gaya, woh chuna nahi. ab raat se meri yaari hai, khamoshi bhi jaisi fankaari hai. mere kal ki fikr mein aaj gaya, jo waqt tha mera, woh kahan gaya? ~shreeraj